jab tawaif shah ki rani hui

jab tawaif shah ki rani hui
ghunghruon ki nazar sultani hui

tere dam se ghar tha jannat ki misal
tu gaya jangal si virani hui

aaj tak duniya na de pai misal
qarn-e-awwal mein wo sultani hui

dekhiye insan ki firauniyat
baadshahi zill-e-subhani hui

barf jaisi thi hamari zindagi
lamha lamha ghul gai pani hui

baithe baithe aa gaya un ka khayal
fikr ki sada qaba dhani hui

chaunk uttha nind meri ud gai
jab suni aawaz pahchani hui

chhod di 'wasiq' kitab-e-agahi
tab to jine mein pareshani hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close