jis roz se qirtas pe tahrir hain aankhen

jis roz se qirtas pe tahrir hain aankhen
us roz se lagta hai ki taswir hain aankhen

chehre hain sabhi ek se gar shahr-e-wafa mein
phir tum hi kaho kis ki ye tafsir hain aankhen

apnon ne mujhe lams ki tabligh se roka
khud harf-e-mohabbat hi ki tashhir hain aankhen

jis din se koi qarya-e-ehsas se guzra
us din se mere waste zanjir hain aankhen

ye kis ke liye dil mein talatum sa bapa hai
ye kis ke liye aaj bhi dil-gir hain aankhen

ye kaun se manzar meri aankhon mein base hain
lagta hai mujhe wadi-e-kashmir hain aankhen

'sajjad' se kal us ne ba-sad-naz kaha tha
ye dekh tere khwab ki tabir hain aankhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close