main sochta tha ki kahna bhula diya us ne kiwad khol ke parda utha diya us ne jo sochte the ki baaligh-nazar kahan hai koi wo hath malte hain kaisa dila diya us ne kahaniyon se kashida malal ki qirat aur us ke baad latifa suna diya us ne wo be-jahat jo meri khwab-gah tak pahunchi to meri nind mein rakhna bana diya us ne drop-scene se pahle jaga diya jaana mere guman ka talazzuz utha diya us ne