wo shakhs meri rasai se mawara bhi na tha bashar bhi khair na hoga magar khuda bhi na tha kaha shuur ne us waqt harf-e-qum mujh se ki la-shuur jagane se jagta bhi na tha ajab thi saat-e-aghaz-e-gulsitan-bandi nawed-e-gul bhi na thi muzhda-e-saba bhi na tha wo ibtida-e-safar ab bhi yaad aati hai kisi mein meri rifaqat ka hausla bhi na tha ghalat-numa-o-ghalat-bin hain baz aaine is e'tiraaz ko naqqad manta bhi na tha shahid-e-zauq-e-taghazzul tha kam-sukhan 'jafar' ghazal ki baat na chalti to bolta bhi na tha