badan se laDte hue zid pe DaT gaya ek din

badan se ladte hue zid pe dat gaya ek din
jo ek dard tha aakhir ko ghat gaya ek din

hamare chehre ko chhodo ye aisa dikhta hai
ghubar-e-waqt se gar dil bhi at gaya ek din

mizaj koi bhi rahta nahin hai der talak
jo mujh se dur khada tha lipat gaya ek din

wo aabla meri raftar jo badhata tha
masafaton mein kahin par wo phat gaya ek din

faqih-e-shahr jise ikhtilaf tha tujh se
sudhar gaya ki wo raste se hat gaya ek din

zawal aata hai sahra pe aaj dekh liya
jo mujh mein phaila hua tha simat gaya ek din

mujhe guman tha ki mera hai sirf mera hai
wo ek dariya tha raston mein bat gaya ek din

kinare tha to musalsal udas tha 'sabir'
samundaron ko safina palat gaya ek din


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close