bas ek tasalsul-e-takrar-e-qurb-o-duri tha visal o hijr ka har marhala uburi tha meri shikast bhi thi meri zat se mansub ki meri fikr ka har faisla shuuri tha thi jiti jagti duniya meri mohabbat ki na khwab ka sa wo aalam ki la-shuuri tha talluqat mein aisa bhi ek mod aaya ki qurbaton pe bhi dil ko guman-e-duri tha riwayaton se kinara-kashi bhi lazim thi aur ehtiram-e-riwayat bhi zaruri tha mashini daur ke aazar se hua sabit ki aadmi ka malal aadmi se duri tha khula hai kab koi jauhar hijab mein 'akbar' guhar ke bab mein tark-e-sadaf zaruri tha