bade budhe hamare jis ko barbaadi samajhte hain nai naslon ke ladke us ko aazadi samajhte hain chalo dikhla hi den ab quwwat-e-bazu ke kuchh jauhar ye ahl-e-zulm hum ko naqsh-e-faryaadi samajhte hain ana ke rang-mahlon mein wo jogan ban ke baithi hai jise basti ke sare log shahzadi samajhte hain hamare kheton mein khushbu hai hariyali hai sawan hai hum apne ganw ko kashmir ki wadi samajhte hain meri basti mein kuchh ahl-e-hunar milte hain aise bhi ki jo tanqid hi ko apni ustadi samajhte hain