bagh taraj baghban ghaeb

bagh taraj baghban ghaeb
shakh maujud aashiyan ghaeb

jis ne socha tha haq ki baat kare
us ke munh se hui zaban ghaeb

hausla in khala-nawardon ka
sar se kar dega aasman ghaeb

kya hua hai mushaeron ka haal
log hazir hain qadr-dan ghaeb

shakl kya ho gai fasanon ki
lafz hazir hain dastan ghaeb

jang shayad chhidi hai shahron mein
pir maujud naujawan ghaeb

pi rahe the jo mere sath abhi
yar wo ho gae kahan ghaeb

moajiza dekhiye siyasat ka
ghar sulagte hain aur dhuan ghaeb


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close