ek shikayat hai hamein us girya-e-ghammaz se hae un ko kar diya aagah dil ke raaz se hain tere anjam mein hirman-o-hasrat hi nihan ye ayan hai qissa-e-ulfat tere aaghaz se bad-gumani is dil-e-majruh par fariyaad ki kab sada-e-soz aati hai shikasta saz se kya ghazab hain us ke barq-e-husn ki tabaniyan ek ujala sa huwaida hai jabin-e-naz se teri jumbish ke main sadqe ai lab-e-moajiz-numa khuft-gan-e-bakht jag utthe teri aawaz se meri barq-e-ah dil mein hi tadap kar rah gai murgh-e-bismil ki tarah na-ashna parwaz se hai shab-e-gham mein faqat us ka tasawwur hi 'anis' aao kuchh baaten hi kar len hamdam-o-hamraaz se