badh gai mai pine se dil ki tamanna aur bhi sadqa apna saqiya yak jam-e-sahba aur bhi ek to main aap naseh hun pareshan khasta-jaan dil dukha deti hai teri pind-e-beja aur bhi dastan-e-shauq-e-dil aisi nahin thi mukhtasar ji laga kar tum agar sunte main kahta aur bhi kuchh to pahle se dil-e-betab tha wahshi-mizaj be-tire din raat ghabraata hai tanha aur bhi dekhte hi dekhte 'taslim' wo chhupne lage badh gaya be-pardagi mein mujh se parda aur bhi