haq wafa ke jo hum jatane lage aap kuchh kah ke muskurane lage tha yahan dil mein tan-e-wasl-e-adu uzr un ki zaban pe aane lage hum ko jina padega furqat mein wo agar himmat aazmane lage dar hai meri zaban na khul jae ab wo baaten bahut banane lage jaan bachti nazar nahin aati ghair ulfat bahut jatane lage tum ko karna padega uzr-e-jafa hum agar dard-e-dil sunane lage sakht mushkil hai shewa-e-taslim hum bhi aakhir ko ji churane lage ji mein hai lun raza-e-pir-e-mughan qafile phir haram ko jaane lage sirr-e-baatin ko fash kar ya rab ahl-e-zahir bahut satane lage waqt-e-rukhsat tha sakht 'haali' par hum bhi baithe the jab wo jaane lage