dekhen kya ab ke asiri hamein dikhlati hai

dekhen kya ab ke asiri hamein dikhlati hai
log kahte hain ki phir fasl-e-bahaar aati hai

ghash chala aata hai aur aankh mundi jati hai
hum ko kya kya meri be-taqati dikhlati hai

kya suna us ne kahin rukhsat-e-gul ka mazkur
andalib aaj qafas mein padi chillati hai

taer-e-ruh ko parwaz ka har dam hai khayal
qafas-e-tan mein meri jaan ye ghabraati hai

dekh rote mujhe hans hans kahe jaana har dam
jaan se mujh ko to teri ye ada bhati hai

bazm-e-hasti mein tu baitha hai 'hawas' kya ghafil
kuchh jo karna hai tu kar umr chali jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close