badha jab us ki tawajjoh ka silsila kuchh aur khushi se phail gaya gham ka daera kuchh aur natija dekh ke mana mere masiha ne kuchh aur dard tha mera hui dawa kuchh aur main apne aap ko kis aaine mein pahchanun ki ek aks mera kuchh hai dusra kuchh aur agar kahin koi diwar samne aai buland ho gaya pani ka hausla kuchh aur kuchh aise dekhta hai wo mujhe ki lagta hai dikha raha hai mujhe mera aaina kuchh aur natija dekhne sunne ke baad ye nikla bayan-e-waqia kuchh amr-e-waqia kuchh aur guzar muhaal na hota hamara basti mein jo uthtin chhod ke diwaren rasta kuchh aur