lahu lahu aarzu badan ka lihaf hoga wo kitna buzdil hai aaj ye inkishaf hoga meri har ek baat thi haqaeq ki raushni mein ye jaanta tha zamana mere khilaf hoga haqiqaton ke charagh har-su jala ke rakhna mujhe yaqin hai ki jhut ka inetaf hoga ye gham nahin hai shanakht apni main kho chuka hun tumhaari hasti se kab mujhe inhiraf hoga na khoj khud ko purane kal ki kahaniyon mein purana kal to shikast ka e'tiraf hoga hamari baaton mein koi pechidgi nahin hai hamari baaton se kab use ikhtilaf hoga rumuz-e-alam pe dastaras us ko hogi hasil wo shakhs kirdar jis ka shaffaf-o-saf hoga saza ke dar se abas tu ghabra raha hai 'anjum' qusur pahla to har kisi ko muaf hoga