dur saya sa hai kya phulon mein chhupti phirti hai saba phulon mein itni khushbu thi ki sar dukhne laga mujh se baitha na gaya phulon mein chand bhi aa gaya shakhon ke qarib ye naya phul khila phulon mein chand mera hai sitaron se alag phul mera hai juda phulon mein chandni chhod gai thi khushbu dhup ne rang bhara phulon mein titliyan qumriyan sab ud bhi gain main to soya hi raha phulon mein ruk gaya hath tera kyun 'basir' koi kanta to na tha phulon mein