badhte hain khud-ba-khud qadam azm-e-safar ko kya karun zer-e-qadam hai kahkashan zauq-e-nazar ko kya karun tez hai karwan-e-waqt tishna hai justuju abhi rok lun zindagi kahan sham-o-sahar ko kya karun dair-o-haram ke rang bhi dekh chuki nigah-e-zist dil mein to hai wahi chubhan aah-e-sahar ko kya karun aaj bhi hai wahi maqam aaj bhi lab pe un ka nam manzil be-shumar gam apne safar ko kya karun yaad kisi ki aa gai ho gai dhundli kaenat parde mein chhup gaya koi dida-e-tar ko kya karun kitni umidon ke charagh rah mein bujh ke rah gae apne to panw thak gae shauq-e-safar ko kya karun ho gai zindagi ki sham 'salik'-e-rah thak gae manzilen dur ho gain rah-e-guzar ko kya karun