mohabbat ka fasana hum se dohraya nahin jata bas ab hum se fareb-e-arzu khaya nahin jata yahan tak to mujhe dast-e-karam par naz hai un ke agar ab hath phailaun to phailaya nahin jata tamasha dekhne wale tamasha ban ke rah jaen ba-qadr-e-dard tum se dil ko tadpaya nahin jata ye aalam hai qafas ka dar khula hai sehn-e-gulshan mein magar sayyaad ko ab chhod kar jaya nahin jata mujhe dekho ki ghairon ko bhi sine se lagata hun magar tum se to apnon ko bhi apnaya nahin jata jo aankhen dekh leti hain khizan ka daur phir un se bahaaron ka fareb-e-rang-o-bu khaya nahin jata main un ko be-rukhi ka kis liye ilzam dun 'jafar' andhere mein to apna do-qadam saya nahin jata