bani-e-be-dad bhi tum tum sitam-ijad bhi sab gawara hai agar sun lo meri fariyaad bhi is qadar badhta chala jata hai dil ka iztirab bais-e-rahat nahin hai ab tumhaari yaad bhi aur honge jin ko shikwa hai teri bedad ka hum wo hain jin ko ghanimat hai teri bedad bhi husn-e-sirat hi ek aisa husn is duniya mein hai dekh sakta hai jise har kor-e-madar-zad bhi ek wo aansu jo sar-e-mizhgan nikal kar aa gaya 'ishq ki tafsir bhi hai husn ki rudad bhi main ne donon se nibahi is tarah hans-bol kar baghban bhi yaad karta hai mujhe sayyaad bhi mit chuki thi ek muddat se tumhaari aarzu rafta rafta mit rahi hai ab tumhaari yaad bhi hum ne is khubi se likkha hai fasana 'ishq ka log kahte hain isi ko husn ki rudad bhi ek faqat dane ki khatir kaun hota hai asir hum ko tha kuchh ehtiram-e-koshish-e-sayyaad bhi teri khatir ye bhi 'sahir' ne gawara kar liya warna hota hai khushi se kya koi barbaad bhi