badi talab thi bada intizar dekho to bahaar lai hai kaisi bahaar dekho to ye kya hua ki salamat nahin koi daman chaman mein phul khile hain ki khar dekho to lahu dilon ka charaghon mein kal bhi jalta tha aur aaj bhi hai wahi karobar dekho to yahan har ek rasan-o-dar hi dikhata hai ajib shahr ajib shahryar dekho to na koi shana bacha hai na koi aaina daraaz-dasti-e-gesu-e-yar dekho to kisi se pyar nahin phir bhi pyar hai sab se wo mast-e-husn hai kya hoshiyar dekho to wo chup bhi baithe hai to aisa ban ke baithe hai har ek ada ye kahe hai pukar dekho to abhi to khun ka sindur hi lagaya hai abhi kare hai wo kya kya singar dekho to ada hamin ne sikhai nazar hamin ne di hamin se aankh churao ho yar dekho to asir kar ke hamein kya phire hai itraata gale mein dale wo phulon ka haar dekho to