koi aansu bahata hai koi fariyaad karta hai ye dil tujh ko bhula kar kyon tujhe hi yaad karta hai tabahi ke bahut sare wasile hain magar ek to mohabbat hi mein apne aap ko barbaad karta hai tere dil mein mohabbat ko jagane ke liye ab to wo pagal roz hi kuchh kuchh nai ijad karta hai darakhton ko jadon se kat kar bante hain furniture tu apna ghar sajata hai wo ghar ko yaad karta hai jala kar bastiyon ko bolte phirte hain ye zalim koi barbaad karta hai koi aabaad karta hai ajab aadat si us ko ho gai hai wo kabutar ko pakadta hai pakad kar khud hi phir aazad karta hai kahan jaega khushiyon ka thikana dhundne 'faez' ghamon se apne dil ko aaj tak wo shad karta he