bahte hue dariya ke kinaron ki tarah tha tujh se mera rishta kabhi khwabon ki tarah tha bistar pe utar aai thin mahtab ki kirnen lahja tera kal raat ujalon ki tarah tha main us ko padha karta tha har raat bahut der wo shakhs mere pas kitabon ki tarah tha kya lams tha kya zulf thi kya surkhi-e-lab thi har rang tera jaise sharabon ki tarah tha kuchh der ko khush kar ke chale sare jahan ko kya apna talluq bhi tamashon ki tarah tha duniya ne bahut chaha ki nam us ka bata dun wo dafn tha mujh mein mere raazon ki tarah tha khone nahin deta tha mujhe bhid mein ehsas jakde hue mujh ko teri banhon ki tarah tha