badla hua duniya ka chalan dekh raha hun tahzib ke mathe pe shikan dekh raha hun tu ne jo gira lin rukh-e-pur-nur pe zulfen suraj ke bhi chehre pe gahan dekh raha hun wo mujh se wafaon ki sanad mang rahe hain main jin ko yahan ahd-shikan dekh raha hun phulon mein na pahli si wo khushbu hai na wo rang bhaunron ko giraftar-e-mehan dekh raha hun jis ahd mein fankar ki izzat nahin baqi main aaj wahi daur-e-fitan dekh raha hun sahra ho ki gulzar gira deta hai bijli kya taur tere charkh-e-kuhan dekh raha hun ab rind bhi aise mein badal jaen to behtar badla hua saqi ka chalan dekh raha hun atwar zamane ke ajab ho gae 'gauhar' ismat ki kalai mein rasan dekh raha hun