dekh kar rang unki mahfil ka

dekh kar rang un ki mahfil ka
ho gaya past hausla dil ka

kho gaya jab khayal-e-manzil mein
mil gaya hai suragh manzil ka

jab sitam sah ke log hain khamosh
hausla kyon badhe na qatil ka

aap dekhen na tez nazron se
phut jaega aabla dil ka

puchhte hain wo haal main chup hun
aa gaya hai maqam mushkil ka

baith jaen jo do qadam chal kar
kya nishan pa sakenge manzil ka

aur ek war ki zarurat hai
ye taqaza hai tere bismil ka

gham-o-hasrat ki sakhtiyan to bura
chur hai aaina mere dil ka

koshishen karke thak gaya 'gauhar'
phir bhi rasta mila na manzil ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close