badla hua hai rang-e-gulistan mere liye khun ro rahi hai chashm-e-bahaaran mere liye faiz-e-junun-e-shauq ke qurban jaiye wusat hai do-jahan ki zindan mere liye sab ahl-e-dil hain teri nigahon se faizyab ab tu kahan hai sirf meri jaan mere liye main khud hi chhod jaunga ye mahfil-e-hayat kyon ho rahe ho itne pareshan mere liye wo zindagi jise teri mahfil mein bar tha ab ho gai hai khwab-e-gurezan mere liye ai mere chaak-chaak gareban se be-khabar tu bhi phirega chaak-gareban mere liye phulon ke naz ahl-e-chaman ko rahen nasib khandan hain kharh-a-e-bayaban mere liye