dekhne mein lagti thi bhigti simatti raat phailti gai lekin bund bund batti raat titliyan pakadne ka aa gaya zamana yaad tez tez badhte hum dur dur hatti raat kyun pahad jaisa din khak mein mila dala pahle soch lete to gard mein na atti raat pyar se kiya rukhsat ek ek sitare ko chha rahi phir aankhon mein aasman se chhatti raat ek sada ki surat hum is hawa mein zinda hain hum jo raushni hote hum pe bhi jhapatti raat