main hun apne kamre mein jaise ajnabi tanha

main hun apne kamre mein jaise ajnabi tanha
aap bhi chale aate is taraf kabhi tanha

har taraf hawadis ki maujzan hawaen hain
kis se kis se takrae ek aadmi tanha

ja ke bas koi itna ahraman se kah deta
waqt ka mudawa hai aaj raushni tanha

dekhne mein duniya hai ek hujum-e-dil-daran
sochiye to hoti hai har ki zindagi tanha

har taraf sisakne ki aa rahi thin aawazen
ro rahi thi sahra mein raat chandni tanha

shahar shahar maskan hai zulmaton ka ab yaro
ganw ganw raqsan hai aaj tirgi tanha

aap ne na pahchana han wahi to pasha tha
wo khamosh gum-sum sa ek aadmi tanha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close