nigah-e-qahr-parwar ko bhi tamhid-e-khushi samjhe samajhna hai to koi hum se raaz-e-zindagi samjhe wafaon ka natija hum to jo kuchh hai samajhte hain magar ai kash anjam-e-jafa wo bhi kabhi samjhe use dair-o-haram mein jazbiyyat kya nazar aae jo teri did ko asl-e-mazaq-e-bandagi samjhe hamein to khair jo kuchh aap ne chaha wo samjhaya magar ye to zara samjhaiye kuchh aap bhi samjhe bhala 'nakhshab' tere is be-niyazana rawayye ko kamal-e-qurb jaane ya mohabbat ki kami samjhe