dukh bhi sahe alam bhi sahe ranj bhi sahe phir bhi bashar khuda ko khuda manta rahe sab munhasir bashar pe hai wo kis tarah rahe dukh zindagi ke hum ne to hans-khel kar sahe dar aa gai hai zehn-e-bashar mein ye soch kya dariya sukhon ka us ke hi ghar ki taraf bahe aangan ka us ke ped phalon se lada bhi ho saya bhi us ka ghar hi ki diwar tak rahe jheli ho jis ne zindagi le le ke tera nam tujh ko agar khuda na kahe wo to kya kahe 'rahat' milenge aur bhi kuchh qadr-dan-e-zist dekha to kije khud se bhi hat kar gahe gahe