baghair bole mera muddaa samajhta hai

baghair bole mera mudda'a samajhta hai
purana dost hai so masala samajhta hai

adhura chhod ke kuchh din ko bhul jata hai
kahan se jodna hai silsila samajhta hai

to phir wo kaise faramosh apna 'aks kare
tumhaari aankhon ko jo aaina samajhta hai

hawa ka shor ho ya barishon ki aahat ho
kiwad khatke ko aawaz-e-pa samajhta hai

charagh jis ko mayassar nahin hua wo shakhs
bahut andhera ho to rasta samajhta hai

kabhi-kabhaar mulaqat karne wale bata
tu kis hisab se khud ko mera samajhta hai

utha ke rakhta hai khud hi wo apni chizon ko
phir apne aap unhen gum-shuda samajhta hai

qadam badha nahin sakta jo aage sidra se
hudud jaanta hai muntaha samajhta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close