raushni wale wasile ki lagi rahti hai bas andhere ko mitane ki lagi rahti hai wo jo gauhar hai samundar mein utar jata hai sirf sipi ko kinare ki lagi rahti hai aankh walon mein basarat ki kami hai shayad jab hi andhon ko dikhawe ki lagi rahti hai phir kisi naqsh-e-kaf-e-pa ko mitane ke liye rah ko khak udane ki lagi rahti hai zard mausam mein gulabon ki tamanna kar li jis tarah dhup mein sae ki lagi rahti hai khwab bunti thin magar aankhon ko ab sham dhale dar ki dastak ki dariche ki lagi rahti hai dhup-mausam mein baras jati hai barish aksar us ko khushiyon mein bhi rone ki lagi rahti hai phir tawajjoh nahin jati teri khafgi ki taraf aansuon ko tere shane ki lagi rahti hai