baghair us ke ab aaram bhi nahin aata wo shakhs jis ka mujhe nam bhi nahin aata usi ki shakl mujhe chand mein nazar aae wo mah-rukh jo lab-e-baam bhi nahin aata karunga kya jo mohabbat mein ho gaya nakaam mujhe to aur koi kaam bhi nahin aata bitha diya mujhe dariya ke us kinare par jidhar hubab tahi-jam bhi nahin aata chura ke khwab wo aankhon ko rehn rakhta hai aur us ke sar koi ilzam bhi nahin aata