khud mazedar tabiat hai to saman kaisa zakhm-e-dil aap hain shorish pe namak-dan kaisa hath wahshat mein na ponchhe to gareban kaisa khar-e-sahra se na uljhe to wo daman kaisa kucha-e-yar ko dawa hai ki jannat main hun khuld kahte hain kise rauza-e-rizwan kaisa usi mabud ka hai dair-o-haram mein jalwa bahs kis baat ki hai gabr o musalman kaisa wada-e-baada-e-athar ka bharosa kab tak chal ke bhatti pe piyen jura-e-irfan kaisa hum hue 'qais' hue 'wamiq' o 'farhad' hue zulf-e-pur-kham ne kiya sab ko pareshan kaisa dur ke dhol hain yusuf ki kahani sahab kis ko malum hai hoga mah-e-kanan kaisa tere qurban main itna to bata de qatil meri gardan pe chala khanjar-e-burran kaisa dil ke aaine mein taswir-e-sanam rakhta hai nahin malum ki 'agha' hai musalman kaisa