baithe to pas hain par aankh utha sakte nahin ji laga hai pa abhi hath laga sakte nahin dur se dekh wo lab katte hain apne honth hai abhi pas-e-adab honth hila sakte nahin takte hain us qad o rukhsar ko hasrat se aur aah bhench kar khub sa chhati se laga sakte nahin dil to in panw pe lote hai mera waqt-e-khiram shab ko duzdi se bhi par un ko daba sakte nahin chor se raat khade rahte hain is dar se lage par jo matlub hai wo jins chura sakte nahin rijhte un ki adaon pe hain kya kya lekin mare andeshe ke gardan bhi hila sakte nahin dekh rahte hain wo aaina-e-zanu us ka par kisi shakl se zanu ko bhida sakte nahin qaede kya hamein malum nahin ulfat ke be-kam-o-kast magar un ko padha sakte nahin chipke tak rahte hain rang us ka bhabuka sa hum aah par dil ki lagi apni bujha sakte nahin kya ghazab hai ki wahi bole to bole az-khud hum unhen kyun ki bulawen ki bula sakte nahin garche ham-khana hain 'jurat' pa hamare aise bakht soe ki kahin sath sula sakte nahin