baghban itna to nadan nahin ho sakta

baghban itna to nadan nahin ho sakta
koi ek phul gulistan nahin ho sakta

aur bhi logon ki ummiden hain mujh se so main
kaam aa sakta hun qurban nahin ho sakta

barha aankhon ne dekha hai wahi sab hote
jis ka sunte the ki imkan nahin ho sakta

koi qissa ho mere dost adhura na suna
shahr ek din mein bayaban nahin ho sakta

sair-e-duniya se bharam hota hai aazadi ka
jis mein wus'at ho wo zindan nahin ho sakta

aisa aasan hadaf sab ki nazar ho jis par
kuchh bhi ho sakta hai aasan nahin ho sakta

jise dekho wahi sahra ka talabgar hai ab
itna dilkash hai to viran nahin ho sakta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close