be-intiha ho qurb magar is qadar na ho

be-intiha ho qurb magar is qadar na ho
hum jis pe mar rahe hain usi ko khabar na ho

mauhum si sada ho magar gunjti rahe
ek aam si du'a ho magar be-asar na ho

shanon ka zikr hote hi sar dhundte hain log
sar-garmi-e-jahan ki itni khabar na ho

sha'ir hi khinch sakta hai pani pe wo lakir
aisi ki ek bund idhar se udhar na ho

bas do hi suraton mein nigahen hain mutmain
un par nazar rahe ya kisi par nazar na ho

kis chand ne kaha tha ki raaton ko jagiye
kab dhup ne kaha tha ki sar par shajar na ho

is gumrahi mein dhund nai manzilen 'amit'
agla qadam wahan ho jahan rah-guzar na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close