us ko naghmon mein sametun to buka jaane hai girya-e-shab ko jo naghme ki sada jaane hai main teri aankhon mein apne liye kya kya dhundun tu mere dard ko kuchh mujh se siwa jaane hai us ko rahne do mere zakhmon ka marham ban kar khun-e-dil ko jo mere rang-e-hina jaane hai meri mahrumi-e-furqat se use kya lena wo to aahon ko bhi manind-e-saba jaane hai ek hi din mein tere shahr ki masmum faza mere pairahan-e-sada ko riya jaane hai main kabhi tere dariche mein khila phul bhi tha aaj kya hun tere gulshan ki hawa jaane hai mujh se kahta hai mera shokh ki iqbaal-'matin' tum rahe raat kahan ye to khuda jaane hai