bahaar aai hai mastana ghata kuchh aur kahti hai magar un shokh nazron ki haya kuchh aur kahti hai rihai ki khabar kis ne udai sehn-e-gulshan mein asiran-e-qafas se to saba kuchh aur kahti hai bahut khush hai dil-e-nadan hawa-e-ku-e-jaanan mein magar hum se zamane ki hawa kuchh aur kahti hai tu mere dil ki sun aaghosh ban kar kah raha hai kuchh teri nichi nazar to jaane kya kuchh aur kahti hai meri jaanib se kah dena saba lahore walon se ki is mausam mein dehli ki hawa kuchh aur kahti hai hui muddat ke mai-noshi se tauba kar chuke 'akhtar' magar dehli ki mastana faza kuchh aur kahti hai