muhajir hain rahne ko ghar mangte hain ye kya hum se ahl-e-safar mangte hain bahut pi chuke hain shafaq ka lahu hum naya ek jam-e-sahar mangte hain tera naqsh-e-pa gar nahin hai to kya gham hawadis meri rahguzar mangte hain ghanimat hain tute hue aaine bhi ye patthar to dast-e-hunar mangte hain hai zinda qafas mein chaman ki tamanna azaem mere baal-o-par mangte hain nazaron ke parde utha kar to dekho nazare bhi husn-e-nazar mangte hain sabaq de rahe the jo zabt-e-alam ka wahi 'taj' soz-e-jigar mangte hain