bayan ho kis tarah soz-o-alam ki dastan meri na sathi koi sunta hai na mir-e-karwan meri mera shauq-e-takallum mujh ko kis mahfil mein le aaya yahan to baat karne ko tarasti hai zaban meri zaban par sabt gar mohr-e-sitamgar hai to kya gham hai ki meri khamushi hi ban rahi hai ab zaban meri mujhe ai baghban shikwa ho kyon qaid-o-salasil ka ki ab sare chaman ki dastan hai dastan meri nishan to mit gaya sayyaad mere aashiyane ka chaman mein har taraf bikhri hai khak-e-ashiyan meri kuchh aisa soz pinhan tha mere andaz-e-girya mein chaman walon ne mil kar lut li tarz-e-fughan meri jahan mein kis tarah mujh ko sukun-e-qalb hasil ho bani hai zindagi hi jab sarapa imtihan meri meri sahra-nawardi par na ho hairan ai hamdam abhi hai aarzu-e-abla-pai jawan meri ye dil hai ya ki hai nakaam ummidon ka gahwara ki har khwahish hai hasrat-khez har hasrat jawan meri 'said' apna watan har aan hi aankhon mein rahta hai usi ki yaad goya ban gai hai jaan-e-jaan meri