bahaar aai hai phir gul-posh hoga gulsitan apna qafas mein yaad aata hai mujhe ab aashiyan apna na ab apni zamin hai aur na hai ab aasman apna bata phir teri duniya mein thikana hai kahan apna chaman apna na gul apne na hai ab aashiyan apna khuda ki shan dushman ho gaya sara jahan apna yahan uthta nahin hai panw fart-e-na-tawani se wahan chalne ko hai tayyar mir-e-karwan apna isi ummid hi mein jaan di hai marne wale ne ab aaega ab aaega masiha-e-zaman apna qafas to kya hai jal jaega ye sara jahan sayyaad qayamat hai qayamat nala-e-shoala-fishan apna khuda rakkhe ajab shai hai ye yak-rangi mohabbat ki samajhte hain bayan tera jo kahta hun bayan apna bahut sunte rahe ho qais aur farhad ke qisse suno to aaj 'fazil' bhi sunae kuchh bayan apna