dagh-e-dil dagh-e-jigar sham-e-farozan ho gaya un ke aate hi mere dil mein charaghan ho gaya ai khayal-e-yar tu dil mein jo mehman ho gaya phir dil-e-viran mera rashk-e-gulistan ho gaya thi mere dil ki umangon hi se duniya ki bahaar dil pareshan kya hua aalam pareshan ho gaya dekh sab zakhm-e-jigar ab ban gae gulha-e-tar aa ki ye ujda kharaba bhi gulistan ho gaya yas-o-naumidi ki chhai jab mere dil ki ghata matla-e-ummid ko suraj numayan ho gaya dam mohabbat ka bhara karta tha jo dil wasl mein ab wo sham-e-hijr aate hi pasheman ho gaya