wo kahte hain ba-asani na hasrat dil se niklegi jo niklegi to ai 'sabir' badi mushkil se niklegi mohabbat aap ki hargiz na mere dil se niklegi qayamat mein bhi ye laila na is mahmil se niklegi chalo achchha hai rahne do yunhi arman bhara mujh ko na tum ghar mere aaoge na hasrat dil se niklegi yahin hum khak ho jaenge jal kar misl-e-parwana hamari lash bhi zalim na is mahfil se niklegi faqiron ki dua lo husn ki khairaat do bose wahi maqbul hogi jo lab-e-sail se niklegi na waqt-e-naza bhi aaya ayaadat ko tu ai zalim hamari jaan to niklegi magar mushkil se niklegi rahen aawara-e-sahra nahin hum tujh se diwane hamari lash majnun kucha-e-qatil se niklegi na ku-e-yar se ai qais tujh ko wapas aana tha tamanna khak teri sai-e-la-hasil se niklegi sara-e-dahr mein hum is liye thahre hain dam bhar ko ki rah-e-khana-e-dil-dar usi mahfil se niklegi hamein munh pher kar tu zabh karta hai to kar lekin hamari jaan ai qatil badi mushkil se niklegi nahin is tarah mein kahna ghazal aasan ai 'sabir' girah jo pad gai ranjish ki wo mushkil se niklegi