pesh-e-idrak meri fikr ke shane khul jaen har taraf aalam-e-imkan ke bahane khul jaen tujh pe mauquf hai duniya ki tahi-damani tu jo khul jae to aalam ke khazane khul jaen phir se aankhon ko meri nur-e-basirat ho ata is sanam-khane mein phir aaina-khane khul jaen sham-e-hasti hui bedar falak se kah do azhdahan-e-shab-e-zulmat ke dahane khul jaen ab koi dast-e-rifaqat na rakhe sine par ain mumkin hai ki zakhmon ke muhane khul jaen adh-khuli aankh mein raqsan hai gham-e-mustaqbil band ho aankh to gum-gashta zamane khul jaen tu agar fikr ki parwaz ko bakhshe rifat kaun jaane ki kahan kitne thikane khul jaen lab-kusha hon to bikhar jaen fasane kitne chup jo ho jaun to auraq purane khul jaen is aqidat ko mohabbat se badal le 'salim' kya pata kab teri tasbih ke dane khul jaen