kar-e-khair itna to ai laghzish-e-pa ho jata pae saqi pe hi ek sajda ada ho jata wo to ye kahiye ki majbur hai nazm-e-hasti warna har banda-e-maghrur khuda ho jata qafile wale the mahrum-e-basirat warna mera har naqsh-e-qadam rah-numa ho jata gham ke maron pe bhi ai dawar-e-hashr ek nazar aaj to faisla-e-ahal-e-wafa ho jata yun andheron mein bhatakte na kabhi ahl-e-khirad koi diwana agar rah-numa ho jata dil teri nim-nigahi ka to mamnun sahi dard abhi kam hai zara aur siwa ho jata lazzat-e-gham se hai zid fitrat-e-gham ko shayad dard hi dard na kyun dard dawa ho jata sun ke bhar aata agar un ka bhi dil ai 'ejaz' qissa-e-dard ka unwan naya ho jata