be-sabab ji se guzarna nahin achchha hota

be-sabab ji se guzarna nahin achchha hota
maut se pahle bhi marna nahin achchha hota

baat ho koi to insan bigad bhi jae
wahm-e-beja pe bipharna nahin achchha hota

sabr se baith agar taqat-e-parwaz nahin
shikwa-e-be-pari karna nahin achchha hota

marna un ka hai jo auron ke liye marte hain
apne hi waste marna nahin achchha hota

aap sachche hain to kuchh pas-e-zaban bhi rakhiye
karke wada to mukarna nahin achchha hota

aadmi apni hadon hi mein rahe behtar hai
sar se pani ka guzarna nahin achchha hota

fikr-e-uqba bhi to lazim hai kabhi ai nadan
fikr-e-hasti hi mein marna nahin achchha hota

maut ko khel samajhna bhi hai ek nadani
zist se pyar bhi karna nahin achchha hota

baat to jab hai ki aasuda-e-manzil hon bhi
yar tanha to utarna nahin achchha hota

had koi 'sehr' hua karti hai zabt-e-gham ki
yunhi ghut-ghut ke to marna nahin achchha hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close