dekha hai raqs-e-shoala gul-o-lala-zar ne khud aashiyan ko aag laga di bahaar ne sine mein ab kahin bhi khizan ka nishan nahin yun gul khila diye hain dil-e-daghdar ne main kar chuka tha zabt gham-e-ishq ko magar luta mera sukun dil-e-be-qarar ne aankhon mein dam ruka hai labon par hai tera nam zinda faqat rakha hai tere intizar ne dohra diya tabahi ka afsana bar bar saz-e-dil-e-shikasta ke har ek tar ne bahbudi-e-chaman ke the sab muddai magar chhoda hai apna farz har ek zimma-dar ne hans hans ke un ka kahna shab-e-wasl mein 'riyaz' be-bas kiya hai aap ke qaul-o-qarar ne