bahaaren luta din jawani luta di tumhaare liye zindagani luta di saba ne to barsae gul fasl-e-gul mein ghata ne mai-e-arghawani luta di adaon pe kar di fida sari hasti nigahon pe duniya-e-fani luta di ajab daulat-e-husn pai thi dil ne na mani meri ek na mani luta di na khona tha ghaflat mein ahd-e-jawani ajab raat thi ye suhani luta di na ki husn ki qadr ai mah-e-kaamil faqat raat bhar mein jawani luta di hasinon ne rangini-e-khwab-e-shirin suni jab hamari kahani luta di ajab hausla hum ne ghuncha ka dekha tabassum pe sari jawani luta di 'jalil' aap ki shaeri par kisi ne nigahon ki jadu-bayani luta di