qarib aa ki KHazana hun lal-o-gauhar ka

qarib aa ki khazana hun lal-o-gauhar ka
hazar ret sahi ret hun samundar ka

khila hai phul bahut roz mein muqaddar ka
bas ab na band ho darwaza tere mandar ka

ye rahe-gahe ka milna bhi koi milna hai
jo ho sake to pata dijiye kabhi ghar ka

tamam-shahr hai hangama-e-nashat mein gum
magar ye karb ye sannata mere andar ka

sada kisi ki ho aata hai apne-ap se khauf
main wo gharib ki ghar ka raha na bahar ka

kabhi na khul ke hansa hun na roya ji-bhar ke
rakha hai main ne hamesha qadam barabar ka

kabhi kabhi ka ho qissa to koi dukh bhi sune
uthae bojh bhala kaun zindagi-bhar ka

gurez hai use meri gali se yun jaise
yahan jo aaya to ho jaega wo patthar ka

asir-e-dam fareb-e-zaban hua aakhir
na e'tibar jise aaya dida-e-tar ka

gham-e-zamana hai wo tegh-e-tishna-kaam 'anjum'
ude hain panw agar war bach gaya sar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close