us ke siwa kya apni daulat soz-e-tamanna dard-e-basirat apne alawa kaun milega kis se karne jaen adawat sikkon ka bazar hai duniya milti kya ehsas ki qimat nakhun-e-dauran aur ghazab tha bharta bhi kya zakhm-e-farasat har dhadkan afsana ban kar khol rahi hai dil ki haqiqat zakhmon phulon ki ye duniya dil ka jahannum aankh ki jannat kitne tajarbe ek tamanna kitne khwab aur ek mohabbat but-kada-e-fan teri khatir gadhta hun takhil ki murat karte 'hurmat' ki gham-khwari gham ne kahan di itni mohlat