mera nahin to wo apna hi kuchh khayal kare use kaho ki talluq ko phir bahaal kare nigah-e-yar na ho to nikhar nahin pata koi jamal ki jitni bhi dekh-bhaal kare mile to itni riayat ata kare mujh ko mere jawab ko sun kar koi sawal kare kalam kar ki mere lafz ko suhulat ho tera sukut meri guftugu muhaal kare bulandiyon pe kahan tak tujhe talash karun har ek sans pe umr-e-rawan zawal kare wo hont hon ki tabassum sukut ho ki sukhan tera jamal har ek rang mein kamal kare main us ka phul hun 'nayyar' so us pe chhod diya wo gesuon mein sajae ki paemal kare